Wednesday, June 10, 2009

Gallery mein baithe-baithe

Gallery mein baithe-baithe

Dekhta hu logo ko aate jaate hue



Aur sochta hu kabhi tere baare mein ae dost

Ki shayad ..us mod se, us darakht ke peeche se

tu ekdum se aayegi chalte hue,

aur paas aakar kahegi ..dekho mai aa gayi

Roj baat karte hai hum is tarah jaise

Ek dusre ke saamne hi baithe ho;

Aur lo aaj mai aa gayi yeh dekhne ki

Tum saamne kaise dikhte ho, kaise bolte ho..



Lagta hai kabhi ki us mod par nahi hai,

balki gallery mein mere pichhe hi khadi hai

Aur khade hokar dekh rahi hai ki,

Mere gallery se duniya kaisi dikhti hai



Phir shayad kamre mein ghusegi

Aur dhundegi ki maine,

aankho ka tera batay hua nussakha banaya ki nahi...

Phir room se bahar aakar kahegi -

"Tum bade laparwah ho, jao mai tumse baat nahi karti"



Phir agle hi pal kahegi ki mera itna khayal rakhte ho

aur apni jara bhi parwah nahi....



Sochta hu gallery mein baithe-baithe kabhi aie dost

ki tu us mod par us darakth ke peeche hi khadi hai,

Aur mujhe dekh rahi hai khamoshi se..aur soch rahi hai ki ...

Gallery mein baithkar soch raha hu tere baare mein.

तेरी यादें...................

जिंदगी दर्द की बाहों में सिमट आई है॥

एक अधूरी कहानी फिर इतिहास के पन्नो से पलट आई है

जो मैंने पुकारा तेरा नाम लेकर वीरानों में

मेरी ही आवाज़ दीवारों से वापस पलट आई है ...

सोचा था की चलूँगा अकेले ही, इन तनहा राहों में

पर हर राह में तेरी याद साथ ही आई है ...

Aayega jab baharon ka mausam

Aayegaa jab baharon ka mausam,
Phir Khilenge phool chaaro taraf pyaar ke;
Phir chalengi hawayein teri or se meri or,
Phir gayegi koyal nagme pyaar ke;

Konple phir khil aayi hai shaakh par kehna use,
Woh na samjha hai na samjhega, magar kehna use..

Kitni meethi hai teri baatein

aur kitna pyara hai tera yeh khayal
ki sochta hu kabhi-kabhi;
Dekh to lu tujhe ek najar...marne se pehle

Phir sochta hu...nahi!
Bas ehsaas hai tu ek khoobsurat sa
Jo mere ghamo ko door karta hai
our mere khamosh labo pe muskurahet bikherta he.

Aur tera yeh khoobsura ehsaas hi
Puri jindagi gujarne ke liye kafi hai..

..............एक ग़ज़ल मेरी तुम्हारी

Kuch lafz hum kahe, kuch lafz tum kaho
phir dono ke lafzon ko chalo milate hai
aur phir likhte hai.......
Ek Gazal meri-tumhari

Thami hui ek Gazal meri tumhari

Jaane kaha tum gayi
Na hawaye chalti hai
Na dhoop khilti hai
Na panchhi cheh-chahate hai
Na koyal gaati hai...
Foolon ne bhi khilna band kar diya hai

Jo tum nahi ho aas-paas
to saari fiza khaamosh hai
Dhundli dikhti hai tasveerein aankho mein
Lafz bhi cchhin gaye hai labon se
aur ruk gayi hai.....
ek gazal meri tumhari...............................