Thursday, March 11, 2010

Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tOu bohot yaad aaya..

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tOu bohot yaad aaya...

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tOu bohot yaad aaya...

Mere jevan ki her khushi main wohi tha,
aaj jab yaad woh aaya tOu bohot yaad aaya...

No comments: